Wednesday, August 29, 2018

What is Bitcoin Bitcoin Kya Hai in Urdu

What is Bitcoin Bitcoin Kya Hai in Urdu


what-is-bitcoin-kya-hai

Salam Friends! Is Post mein main apko btaounga k Bitcoin kya hai. Bitcoin ek Currency hai Jaise ki Dollar/Rupees hote hai, waise he yeh bhi ek currency hai aur aaj hum iske ke bare me janegy ki bitcoin kya hai. 
Bitcoin ek Digital Currency hai jo k electronically "Internet ya Computer" k uper rakhi jati hai. Bitcoin ko koi bhi control nahi karta. Bitcoins riwaiti currencies yani k dollar ya euros ki tarah print nahi hoti, ye aam logon ki taraf se banai "Mine" ki jati hai computer k zariye jo k Complex Mathematical Problems ko solve karne k baad hasil hoti hai. Is process ko mining kehte hain.
Also Read: How to Easily Start Bitcoin Mining With No Expertise!

  1. Ye Currency Kisne Banai?
    Ye Currency ek Software Developer jis ka naam "Satoshi Nakamato" hai. Yeh currency unhon ne Ejaad ki hai. Is currency ko bananay ka maqsad ye tha k is ko koi idaara control nahi kare aur jo k internet pe khareed-o-farokht k liye nihaayat he kam fees pe istamaal kiya ja sake.
  2. Bitcoin Ki Bunyaad Kya Hai?Riwaiti currency ki bunyaad Sona (Gold) ya Chaandi (Silver) hoti hai lekin bitcoin ki bunyaad Sona ya Chaandi nahi balke is ki bunyaad mathematics pe hoti hai.
  3. Konsi Cheez Bitcoin Ko Aam Currencies Se Mukhtalif Banati Hai?
    Bitcoin electronically yani internet k zariye istamaal ki ja sakti hai. Jo cheez bitcoin ko sab currencies se mukhtalif banati hai wo ye hai k is ko koi bhi idaara "Authority" control nahi karta.
  4. Is Currency Ko Kon Print Karta Hai?
    Is currency ko koi bhi idaara rivaiti currencies ki tarah print nahi karta. Bitcoin electronically yani digitally banai jati hai. Is method ko "Mining" kaha jata hai jo k computer ki power se amal men aati hai.

Urdu Presentation by Abdullah Khan
English Presentation By WeUseCoins

Umeed hai k aapko humara ye article pasand aya hoga, aur aapko bitcoin ke bare me zaida se zaida jaane ko milega. Ager aapke koi sawal ya jawab ho toh aap humein neche diye gaye comment box me likh kar humein bata sakte hain.
If You Like This Article, Dont Forget To Share, Because Sharing is Caring. Take your time to Comment on this Post. If You Like what we are doing? Donations are welcome!
Please Donate To Bitcoin Address: [[address]]
Donation of [[value]] BTC Received. Thank You.
[[error]]


visit link download

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.